Saturday 17 January 2009

Qaasid ke aatey aatey

Qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN

kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ? shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN

taa fir na intezaar meiN neeNd aaye 'umr bhar aane ka 'ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN

mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN

GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN

kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN , shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab mein

- Mirza Ghalib

{ My apologies for not writing this in Urdu/Persian script as I don't know them}

No comments:

Post a Comment

Your feedback is invaluable !:-)

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...